Samay ki ghari chalti hai, har insaan ki fitrat badalti hai,
Wo jo tumhare liye rota tha kabhi,
aaj use tumhari hasi bhi khalti
hai,
Jiski saanse tujhse judi thi,
Har saans main bas tu hi basi
thi,
Aaj bas usi ki kami hai,
Har saans se wo kahin door khadi
hai.
Jahan tum sath the to tha har raat main ek naya savera,
Ab jab tum sath nahi to...
har sham main hai kahin gehra andhera,
Tumhari kami ab har dhadkan ko bhi rokti hai,
Tu mujhse juda ho kar door kahin dhadakti hai..
Mujhe pata hai tu mujh main kahin abhi bhi basi hai ,
Bas samay ke aage tu kahin khud ko roke khadi hai,
Kar le jo tu waqt se dosti aur himmat se wafadari
to har saans ko fir khud se jod lun...
Samay ki is ghari ko abhi yahin kahin rok lun…
Laga lun gale tujhe bheench
kar
ki juda kar na sake koi bhi kuch soch kar
Har saans ko khud main basa lun
Tujhe apni palkon
main saja kar
Aakhon ko bhi samay
se pehle band kar lun…
Aur samay se bhi thoda sa samay chura lun...

No comments:
Post a Comment