Thursday, 16 February 2012

Izzat


Chaaro taraf tha Andhera, chaaro tarf thi tanhai,
Wo mujhe kharonch raha par kisi ne palak na jhukai,
Maangti Rahi main Namardon se madad,
Par kisi ko sharam bhi na aayi,
Main chilati rahi wo nochta raha,
Par andha saamaj bus dekhta raha,
Na jane kab aaega inhe hosh,
Kab samjhenge ye samaj ka Bojh,
Aaj ek abhagan ne izzat gawai….
Aur kisi mor par kisi ki baj rahi sehnai…

1 comment: